Monday, March 11, 2019

...

Kisi kei khushi ki talab na ban sako toh sahi
Lekin kisi kei dukhon ka sabab na bano

Tuesday, February 19, 2019

Yaadien

Yaadein bhi kya hassen hoti hai
Kabhi khushiyon ki ujale bhar deti Hai
Toh kabhi gamon ki misalein

Sunday, February 17, 2019

Mai aur meri tanhayi

Mai aur meri tanhayi
Jo the humsaye
Jo tere anne se
Ho gye the juda
Aj phir ho gaye hai rubabu
Is mod par
Mai aur meri tanhayi

Tere khwaboon kei paymane

Tere khwaabon kei paymane
Basa liye humne kai ashyiane
Reh gaye the jo purane
Kashmakash-e-zamane

Friday, February 15, 2019

Zindagi

Bahut haseen si sohbatian hai gulon  ki magar woh zindagi hai jo kanton kei darmiyan guzre

Tuesday, February 12, 2019

Tere waaste

Tere waaste ek naya sawera banayenge
Zindagi ko pirokar
Ek naya basera basayenge

Saturday, January 12, 2019

Khwaishein

Zindagi mei khwaieshein khatam nahi hoti bas waqt kei sath foqiat badal jati hai

Reality

Agar gora rang khubsurati ki alamat hota toh logon ko kafan se khauf na attaAgar kala rang manhuseeyat ki nishani hota toh logo ko kaba ko dekh kar sukun na atta

Khamoshiyan

Talashne se milti nahi

Sayoin ki tarah rehti hai 

Yeh Khamoshiyon... 

#Sometimes desperately need it but can't find(inner peace) #Sometimes can't get rid of it(inner voice) #Khamoshiyon

Belief

Bharose ki taseer hai dhoka

Umeedoin ki tafseer hai mauka....

Khamoshiyan

Baaz dafa lafz kafi nahi hote

Khamoshiyon ki bhi zuban hoti hai

Ankhein bhi dil ka haal bayan kar deti hai...

Itmenan toh rakh

Waqt toh beet gaya

Par tera waqt ayega

Itmenan toh rakh

Din toh dhal gaya

Raat bhi guzar jayegi

Itmenan toh rakh

Jo gamon ne di hai dastak

Khushiyon ki saugat bhi hogi

Itmenan toh rakh

Umeedoin ne jo dam tode hai

Khwahishon ko udaan bhi milegi

Itmenan toh rakh

Pareshaniyan jo darr pe ayi hai

Raastein bhi bante jayenge

Itmenan toh rakh.

Dosti

Asman ne zameen se guzarish ki

Humne khuda se sifarish ki 

Barsa de rehmat humare doston par

Bas itni si khwaish hai....

Umeed

Waqt kei sarmaye mei

Umeedoin nei ask bahaye hai

Magar humne hauslein nahi gawayein hai...

Life

Afsanon ki talash mei

Fasane bante gaye

Naye log milte gaye

Aur purane bichadte gaye.

Umeed

Waqt kei sarmaye meiUmeedoin nei ask bahaye hai

Magar humne hauslein nahi gawayein hai...

Zindagi

Raastein kahan khatam hote hai zindagi kei safar mei manzil toh wahain hai ja khwaieshein khatam hoti hai...

Rishtein

Rishtein hatheli mei bhare pani ki tarah hoti hai usse jitna dabane ki koshish karo woh phisalti jati hai.

Deeds

Bani hun raakh se Miljaungi khaak mei 

Yeh to amn-o-amal hai jo reh jayenge taak pe...

Khuda

Makhlooq-e-khuda se pyar karo, Khuda sirf masjid mei nahi milta...

Ae bachpan

Jo hota koi chirag mere pass

Jo hoti meri koi khwayish mukamal

Mang lete tujhe wapas khuda se

Ae bachpan....

Khudaya

Gunahon ka kaise karun kafara

Tere sajde mei jo sirr jhukaya

To paya tera sahara

Ki kar karam khudaya...

Tanhayian

Tanhayi kya hai woh unse pucho jinke aspass dunya bhar kei log hone par bhi akela mehsus karte hai....

Life

Yahan khushiyon ka gharbaar bhi hai

Gamoin ka pahad bhi hai

Yeh toh hai do lafzon ki kahani 

Teri meri zindagani......

Zindagi ki seekh

Zindagi mei sab log rishtedar aur dost nahi ban kar aa sakte isliye kuch log sabak bankar ate hai...

Dont judge me

Mere bare mei raei mat banana, 

Mera waqt bhi badal jayega, 

Tera nazarya bhi.

Naseeb

Haanthon ki lakeerein mitane se naseeb nahi badalti magar duaon se aksar takdeerein badal jaya karti hain....

Khushiyan khareedi nahi jati

Kabhi kabhi isnan ko choti choti khushiyan dunya bhar ki khushi deta hai toh kabhi kabhi insan duniya bhar ki neymaton kei sath bhi nafarman rehta hai

Naseeb

Haanthon ki lakeerein mitane se naseeb nahi badalti magar duaon se aksar takdeerein badal jaya karti hain....

Khauf

Na hai malakul-maut ka khauf phir bhi hum yeh nahi chahate ki yeh zindagi yun hi khatam ho jaye

Khwaish

Khwahishon ka hara Jaise koi tutta sitara

Bandhe ek dore

Jaise ho koi umeedoin ka chore...

Friendship

Dosti ka ashiyana

Umeedoin ka fasana

Khushiyon ka afsana

Sath agar ho tum toh

Azmaiesho mei bhi rahe hum shayarana......

Mere khuda

Karun main jo rukh teri oreKarun main jo tera sajdah

Mere dil which bas tera hi ek naam basda... 

#mere khuda

Friendship

Dosti ka ashiyana

Umeedoin ka fasana

Khushiyon ka afsana

Sath agar ho tum toh

Azmaiesho mei bhi rahe hum shayarana......

Haunslein

Gamon kei sarmayein mei

 Humnei aksh bahayein hai

Magar humnei hauslein nahi gawaien hai

Dosti

Dosti hi aisi ek wahid cheez hai jiska koi matlab nahi hai. Agar dosti mei matlab aa jaye toh dosti dosti nahi rehti.....

Haunslein

Gamon kei sarmayein mei

 Humnei aksh bahayein hai

Magar humnei hauslein nahi gawaien hai

Wafayi

Wafa se na mili wafayi

Sath hai mere tanhayi

Waqt ne bhi kar di bewafayi

Jab baat humari ayi.

Hansa karo

Dete hai log salah

Hansa karo

Par yeh bhi hai ek kala

Par ismei kya bura hai bhala

Kuch log hans kar ansu chupate

Toh kuch dusron ko azmante

Toh kuch shikwein mitate

Toh kuch dushmani nibhate

Hasna bhi hai ek kala

Jo ise samjhe usse kya gila

Marham

Waqt ne diye Sau gham sahi

Par ek marham wahi

Jisse dhundha har kahin

Mila woh tujhmei sahi

Ae hansi

Ae hansi Hai pehchan tu meri

Karde kisi ko khafa aisi na ehkan teri

Dusron ko gamon mei bhi jo hansa de

Aisi hai dastan teri

...

Umeedoin kei dar pe

Zindagi kei safar mei

Kho gayi hai kahin muskurahat

Azamaishoin kei bhawar mei

Dosti

Har gham ko khushi me badalti hai dosti,

Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,

Kuch log samajh nahi paye ki,

Andheri raat ka ujala hai dosti...

Ae khuda

Ae khuda

Tujhpe hai mera mayar

Tujhse hai mera waqar

Tere ibadat mei mai giraftar

Teri meri yaari

Lafzon ki zubani Teri meri zindgani

Waqt pe bhari

Teri meri yaari

Ae khuda

Ae khuda

Tujhpe hai mera mayar

Tujhse hai mera waqar

Tere ibadat mei mai giraftar

Dosti

Har gham ko khushi me badalti hai dosti,

Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,

Kuch log samajh nahi paye ki,

Andheri raat ka ujala hai dosti...

Tanhayi

Khuda kaisi kaid yeh banayi

Waqfe Waqfe par ayi

Mehfilon mei bhi satayi

Yeh Tanhanyi...

.....

Kuch log ayne ki tarah saachayi dikhate hai toh kuch log dewaar ki tarah parchayi

Republic Day

Jo zameen

Shaheedon kei lahu ka dharm nahi puchti

Woh sarzameen 

Hindustan kehlati hai..

...

Umeedoin kei dar pe

Zindagi kei safar mei

Kho gayi hai kahin muskurahat

Azamaishoin kei bhawar mei

Waqt

Waqt ne kiya haseen sitam

Hans kar sahe hum

Chahe khushi ho ya gam

Muskurate rahe hardum.

Ae hansi

Ae hansi Hai pehchan tu meri

Karde kisi ko khafa aisi na ehkan teri

Dusron ko gamon mei bhi jo hansa de

Aisi hai dastan teri

Majbooriyan

Log to hai hi majboor denge hi dagah kyun na hum iss dil se hi keh de toota na kare.

Aye Zindagi

Thak gaye hai teri naukri se aey zindagi.... Munasib hoga tu mera hisab karde

.

Kisi kei liye jhukna koi ajeeb baat nahi hai chamakta toh suraj bhi hai lekin dhal jata hai chand kei liye...

Dosti

Kuch junooniyat hai saaz si

Kuch yaadein hai ehsaas si

Kuch pal hai khaas se

Kuch lafzein nahi kar sakti bayan 

Ye dosti jo hai khaas si..

Friendship Day

Tumhari yaadon ko yun 

Bhula na payenge hum 

Dost ho dosti ki kasam

Zindagi bhar yaad ayenge..

Zindagi

Yeh zindagi

Jaise ho koi saheli

Ya jaise koi ansuljhi paheli

Khelti hai mere sang jaise aankh mechauli...

Khuda

Milenge raahon mei kaatein haazar

Girenge hum baar baar

Rukenge nahi thakenge nahi

Kyunki hai aitbar humein tujhpe e-khuda...

Sabr

Raaton ki tanhayion mei

Umeedon ki gehrayion mei

Khwabon ko tarashte hue

Sabr ka hath thame rehna...

.......

Rishtoh ki silwatein sawarte hue

Mashre ki uljhanein suljhate hue

Waqt ka kafila chata raha

Lekin humein hosh na raha...

Friendz...memories..

Sulaghti hui agon mei

Dosti kei dhagon mei

Kabhi muh na modna

Kabhi alvida na kehna

True people...

Ache hote hai bure log kamsekam ache hone ka dikhawa nahi karte

Friendship...

Lafzon ki justaju

Khwabon ka mayan

Dosti ka paigam le kar aya 

Yeh khubsurat ayam..

Keemat

Cheezon ki keemat milne se pehle hoti hai aur insanon ki khone kei baad

Haqeeqat

Seh lo toh kayamat

Keh lo toh bagawat...

Rainy season♥

Nami si hai fizaion mei

Sargoshi si hai hawanon mei

Khusbu si hai shamaon mei.... 

Coz itz Rainy Season my favourite❤️

Childhood memories

Udas khada hai mohalle mei barish ka paniKagaz ki kashtiyan banane wale ab bade ho gaye hain..

Waqt

Guzar jayega yeh waqt bhi itmenan to rakhJab khushi na theri to gum ki kya aukat hai

Yaadein

Log toh bichad hi jaya karte hai Yeh toh yaadein hai jo hamesha sath deti hai...

Bharosa...

Kyun bharosa kare hum gairon pe jubki humei chalna hai apne pairon pe